Note: Direct find your favorite shayari word, Name Just enter Ctrl + F and find.
Send free SMS anyone
Go to site and Create your account using Mobile number and Password
Wo meri mohabat se yu baiman ho
gaye,
Jo koi apne the aaj anjan ho gaye,
Uski berukhi ki intah to dekhiye,
Wo lekar meri jaan kisi or ki jaan ho gayi.
Kuldeep Jadeja
Kisi ki yaad me jalna ajib lagta
hai,
Dhire dhire pighalana ajib lagta hai,
Sari duniya badal jaye to koi gam nahi,
Par koi apna badal jaaye to ajib lagta hai.
Kuldeep Jadeja
Majaburi me nahi,
Dil kare to yad karna,
Duniya se fursat mile to baat karna,
Dua he zamane ki har khusi pao aap,
Fir bhi aankh bhar aaye to hame zarur yaad karna.
Kuldeep Jadeja
Dil roya par aankho ko rone na
diya,
Saari raat jage, kud ko sone na diya,
Kitana pyar karte hai aapko,
Unke is baat ka ehsas unko hone na diya.
Chand2
Mangi thi hamne khud se mohabat
ki zinadagi,
Khud ne…
Un se mila kar zindagi ko hi mohabat bana diya..!!!
Ravi Jadeja
Koi rokar juda hota hai,
Koi haskar juda hota hai,
Par, Juda hone ka gum tab hota hai-
Jab, Koi kisi ka hokar juda hota hai..!!
Ronak
Nazar chahati hai deedar karna,
Dil chahta hai pyaar karna,
Kya bataoo is dill ka aalam,
Nasib me likha hai Intezar karna…
Priyank
Nikalta Chand sabko pasand hota
he,
Dubta hua Suraj kon dekhata he,
Toot ta hua Tara sab ki dua isliye puri karta he,
Kyu ki use tutne ka dard malum hota he..!!
Ronak
Us ko chaha tou Iqarar karna na
aaya,
Kat gayi umer pyar karna na aaya,
Manga uss ne kuchh to mangi iudai,
Aur ek hum they ke hame Inkar karna na aaya,
Ronak
Do baate unse ki dil ka dard kho
gaya,
Logo ne puchha aaj tumhe kya ho gaya,
Ham bekarar karke hans pade,
Yeh na keh paaye hame Pyar ho gaya.
Chand2
Kuchh log apne pyar ko rula dete
hai,
Pyar kitana bhi anmol ho bhula dete hai,
Pyar nibhana ho to Gulab se sikho,
Jo khud tutkar Do Dilo ko mila dete hai…
Jadeja Ravi
Sitaro se bhari is raat me,
Jannat se bhi khubsurat khwab aapke aaye,
Itani hasin ho aanewali shubah,
Ki mangane se pehle apki har murad puri ho jaye.
Ravi Jadeja
Aap bhula ke dekho hum fir bhi yaad ayenge,
Apke chahane waalo main apko hum hi nazar aayenge,
Aap pani pi pi ke thak jaoge…
Hum Hichaki banke yaad aayenge.
Kinjal
Khush Hu or Sabko Khush Rakhta Hu
Laparwa Hu fir Bhi Sabki Parwah Karta Hu
Maloom h Koi MOLL Nahi Mera
Fir Bhi ANMOL Logo Se Rishta Rakhta Hu.
Mohabbat ki Shama jalake to dekho,
Zara dil ki duniya saja ke to dekho,
Tumhe ho na jaaye mohabbat to kehna,
Zara humse nazre milake to dekho...
Chaman Se Bichhda Hua Ek Gulab Hoon,
Main Khud Apni Tabaahi Ka Jawaab Hoon,
Yoon Nigaahein Na Fer Mujhse Mere Sanam,
Main Teri Chahaton Mein Hi Hua Barbaad Hoon..!!
Lamhe judaai ke bekarar krte h,
Haalat meri mujhe laachar krte h,
Aankhe meri padh lo kabhi,
Hum khud kaise kahe ki hum aapse kitna pyar krte hai...
AapKi Talash Me Kadam Khud nikal Gaye,
AapKi Yaado Me Ye Arman Pigal Gaye,
Khoza Tha Tumhe Saare Jahan Me,
Palke Band Ki To Aap Dil Me Hi Mil Gaye,
Ankh se gira aansu koi utha nahi sakta
Kismat mein likha koi mita nahi sakta
Aapka pyaar hai jaan hamari
Aur hamari jaan ko hamse koi chura nahi sakta
Har mulaqat tumse adhuri si rahi,
Har khushi mein kuch kami si rahi,
Khwab kya dekha tumhare humne,
Neend ki aankho se dushmani si rahi...
Love bears all things,
Love believes all things,
Love hopes all things,
And most precious of all,
Love endures all things.
Come we love and make things happy.
Pyar Na Dil Se Hota Hai,
Na Dimaag Se Hota Hai,
Yeh Pyar To Ittefaq Se Hota Hai,
Per Pyar Karke Pyar Hi Mile,
Ye Ittefaq Kisi Kisi Ke Sath Hota Hai
Waqt kahta hai k mai fir nhi aaunga...
Teri aankho ko ab na rulaunga...
Jeena hai to iss pal ko jee le...
Shyad mai kal tak na ruk pawunga...
Aksar Jab hum unko yaad karte hai...
Apne rab se yahi faryaad karte hai...
Umar hamari bhi lag jaye unko.
Kyoki hum unko khud se zyada pyaar karte hai..
A KHUDA
Nazro ko kuch Aesi Khudai De
Jidhar Dekhu Udhar wo Dikhai De
Krde Aesi Meharbani mujhpe
Mai unko pukaru Or bas unhi ko Sunayi De..
Zindagi ke tufano ka sahil hai teri dosti,
Dil ke armano ki manzil hai teri dosti,
Zindagi banjaye jannat agar,
Maut ane tak sath rahe teri yeh dosti
Aye zindagi tu mujh se daga naa kar,
Main zinda rahu ye dua naa kar,
Koi dekhta hai meri jaan ko to hoti hai jalan,
Aye hawa tu bhi usse chua naa kar
Dil se duaa karte he,
Ham unse pyaar karte he,
Jindgi ka kya feshla he,
Wo hamse nafrat karte he.
Yaadoki Safar Me Chalte Hi Rehena..
Zindegi Me Har Pal Muskurate Rehana.
Mussibat Aaye To Khuda Ko Yaad Karna Or.
Zindegi Me Kisiko "Kabhi Alvida Na Kehena"
Khata ho gyi ho to saja suna do.
Dil me itna dard kyu hai wajha bata do.
Der ho gyi hai yaad karne me jarur.
Lekin aapko bhula denge ye khyaal dil se mita do.
Sab Honge Yaha Magar Hum Na Honge,
Humare Na Hone Se Log KamNa Honge,
Aise To Bahut Milenge Pyar Karne Wale,
Hum Jaise Bhi Milenge Magar Wo Hum Na Honge
Shayaro Ki Mehfil Me Baat Chali Ek Deewane Ki,
Din Raat Jalne Wale Ek Pagal Parwane Ki,
Maine Socha Koi Aur Hoga Ye Sirfira,
Dekha To Ungli Meri Taraf Uthi Zamane Ki.
Na kar tamanna ae dil tu kisi ko pane ki,
Badi bedard nigaahein hai iss zamane ki,
Khud ko bana le kabil is qadar,
Ke log kare tamanna sirf tujhi ko pane ki,
Chup rehte hai k koi khafa na ho jaye,
Hamse koi rusva na ho jaye,
Badi mushkil se koi apna lagne laga hai,
Darte hai ki milne se pehle hikoi juda na ho jaye
Ishq ki baat karte karte kahan se kahan aa gaye ham,
Unki tasveer ka deedar karte karte kahan se kahan aa gaye
ham..
Wo to shayad hamare the hi nahi kabhi,
Aur unhi ki raah dekhte dekhte aaj ye kahan aa gaye ham..
Ara si zindagi hai arman bahot hai..
Hamdard nhi koi par insaan bahot hai..
Dil ka dard sunaye kisko...
Jo shaks dil k qareeb hai woh anjaan bahot hai...
Uska hua diwana, duniya se hua begana,
Wo to hai mere is dard-e-dil se anjaan,
Kaise btau use ki wo hi hai meri jaan...
DiL Ki Kitab Me Gulab Unka Tha
Raat Ki Nindo Me Khwab Unka Tha
Kitna Pyar Krte Ho Jab Hmne Pucha
Mar Jayege Tumhare Bina, Ye Jawab Unka Tha
Vishwas Ban ke Log Zindagi Me Aate Hai,
Khwab Ban ke Aankho Me Samaa Jaate Hai,
Pehle Yakeen Dilate Hai Ki Wo Hamare Hai,
Fir Na Jaane Kyu Badal Jaate Hai
Is mohabbal ki dastan ko sunawo kaise,
Aag dil me lgi hai bujhawon kaise,
Na jane kb aur kha milenge vo,
Apni betabi ko un se mai btwon kaise,
Mai to parwana hu unki yaad me jal hi javonga,
Bus ye soch ke jinda hun ki dil ki baat ko un tak
pahunchavon kaise
Hume izhaar karna nahi aaya,
Unhe pyar karna nahi aaya,
Hum bas dekhte hi reh gaye,
Aur waqt ko thamna nahi aaya,
Wo chalte chalte itne door chale gaye,
Hume rokna bhi nahi aaya...
Pyar Ghajal Hai GunGunaneKe Liye,
Pyar Nagma Hai Sunane Ke Liye,
Ye Vo Zajba Hai Jo Sabko Nahi Milta,
Kyoki Haunsla Chahiye PyarKo Nibhane Ke Liye
Ankhe mujhe talvo se vo malne nhi dete,
Arman mere dil ka nikalne nhi dete,
Vo smajhte hai mere dil ko mom ki trah,
Sardi me jlate hai per pighalne nhi dete
Ahista ahista aapka yakeen karne lage hain..
Ahista ahista aapke kareeb aane lage hain..
Dil tho dene se ghabraathe hain..
Magar ahista ahista aapke dil ki kadar karne lage hain..
Main apke pyar me kuch aisakar jaunga,
Ban kar khusbu hawa me bikhar jaunga.
Bhulna chaho to sanso ko rok lena
Sans loge to main dil me utarjaunga
Badalna aata nahi hum ko maushmon ki tarah,
Har ek roop main tera intjaar karte hai,
Na tum samet sakogi jise kayamat tak,
Kasam tumhari tumhe itna pyaar karte hai
Khuda ki mahobbat fanah kaun karega..
Sabhi neak ban gaye to gunah Kaun karega.
Aye khuda bewafa sanam ko bachaye rakhna..
Warna hamari Qabar pr chadar kaun chadayega
Dard na ho jismen wo geet kyaa hai,
Roothe na jo kabhi wo meet kyaa hai..
Is jahaan ki ye anokhi reet hai par,
Jo adhoori naa rahe wo preet kyaa hai..!
Kaash woh samajthe is dil ki tadap ko,
Tho yun humein ruswa na kiya hotha.
Unki ye berukhi zulm bhi manzoor thi humein,
Bas ek baar humein samaj-liya hotha?
Zindagi sirf mohabbat nahi,kuch aur bhi hay
Zulf-o-rukhsar ki jannat nahi,kuch aur bhi hay
Bhool-o-aflas ki is maari hui dunya main
Ishq hi ek haqiqat nahi,kuch aur bhi hay
PYAR KI KABHI NUMAIESH NA KARNA.
WAFA KI KABHI AZMAISH NA KARNA.
MANGO JAAN THO WO B DEDENGE.
BAS KABHI JUDAI KI FARMAISH NA KARNA.
Woh Toh Paani Ki Boond Hai Jo Ankho Se Beh Jaye,
Aansu Toh Woh Hai Jo Tadap K Ankho Me Hi Reh Jaye,
Woh Pyar Kya Jo Lafzo Me Bayan Ho??
Pyar Toh Woh Hai Jo Aakhon Me Nazar Aaye..
Pyar se chahe arman mang lo,
Ruthkar chahe muskan mang lo,
Bus tamanna yeh hai ki na dena kabhi dhokha,
Fir hanskar chahe jaan mang lo!
Zamane Me Koi Na Sahara Nazar Aaya,
Bus Tu Hi Ek Humara Nazar Aaya,
Tere Pyar Me Is Kadar Behta gaya,
Na Tufan Nazar Aaya N Kinara Nazar Aya
Njron ki jubhan wo samajh nahin pate,
Honth hamare kuch kah nahi pate.
Dil apni majburi bataye kese.
Koi hai jinki bina hum rah nahin pate.
Tanhayi le jaati hai jaha tak yaad tumhari,
Wahi se shuru hoti hai Zindagi hamari,
Nahi socha tha chahenge ham tumhe is kadar,
Par ab to ban gaye ho tum kismat hamari.
Ghar se bahar wo naqab me nikli
Saari Gali unki Firaq me nikli,
Inqaar karte hai wo hamari Mohabbat se
Aur Hamari hi Tasweer unki Kitab me Nikli.
Kuch Nasha Aapki Baat ka hai,
Kuch Nasha Dhimi Barsat ka hai,
Hame aap yuhi Sharabi maat Kahiye,
Ye dil par asar aapse pahali mulakat ka hai
Dil Ki Aawaj Ko Izhar Kahate Hai,
Jhuki Nigaho Ko Ekrar Kahte Hai,
Sirf ”Jatane” Ka Nam Ishq Nahi,
Kisi Ki Yaado Me Jeene Ko Bhi Pyar
Kahate Hai.
Wo mujh tak aane ki raah chahta hai,
Laikin meri mohabbaton ka gawa chahta hai,
Khud aatay jaatay mosmon ki tarha hai,
Aur mujh se mohabbat ki entiha chahta hai
Tanhai hai pyar mein
Barbaadi hai pyar mein
Aansoon hai pyar mein
Bebasi hai pyar mein
Gam bhi hai pyar mein
Haar bhi hai pyar mein
Hamein sab pata hai
Lekin kya kare
Hum bhi hai pyar mein,
Apne haathon se yun chehre ko chhupaate kyon ho,
Mujh se sharmaate ho tou saamne aate kyon ho,
Tum kabhi meri tarah kar bhi lo ikraar-e-vafa,
Pyaar karte ho tou phir pyaar chupaate kyon ho.
Yaar ke intezar mein dil bekarrar ho jaye,
Unke deedar ki ghadi Jaise Bahaar ho jaye.
Hamari Bhi rab se yehi dua hai doston,
Duniya me sab ko aise hi pyar ho jaye.
Rona pdta hai ek din muskurane k bad,
Yaad aate hain o dur jane k bad,
Dil to dukhta hai hi uske liye,
Jo apna na ho ske itni mohbbt jtane k bad..!
Aaj aasman me tare kam dikhe
Barish me patte nam dikhe
Jinki najaro me jagah nahi ti hamare liye
Khuda ki kasam aaj unki aankho me hum dikhe.
Pyaar kamjor dil se kiya nahi ja sakta,
Zeher Dushman se liya nahi ja sakta,
Dil mein basi hai ulfat jis pyar ki
Us ke bina jiya nahi ja sakta
Pagal woh nahi jo pyarr karte hai...
Pagal woh nahi jo pyarr karte hai...
Pagal to woh hote hai jo uska izhaar nahi karte...
Humne bhi kari yahi galti aur phir dosh bhagwaan ko dete
hai...
Jalate hain hum apne dil ko diye ki tarah,
Teri zindagi mein khushiyon ki roshni lane ke liye.
Seh jate hain har chubhan ko apne pairon tale,
Teri rahoon mein phool bhichane ke liye.....
Mulakat bhi kabhi aansu de jati hai,
Najre bhi kabhi dhoka de jati hai,
Sath gujre hue lamho ko yaad karke dekhiye,
Tanhai bhi kabhi sukun de jati hai.
Dil Hi Dil Mein, Unhe Chahte Hai,
Dil Hi Dil Mein, Unhe Pyaar Karte Hai,
Mushkil Hai Unka Raah Se Guzarna,
Fir Bhi Har Mod Pe, Unka Intezaar Karte Hai
Bohut muskil se kal ki raat guzari hai...
Kuch tanha par kuch khas guzara hai...
Na nind aai, Na khawaab kai...
Bas Aap ke khayalon k saath guzari...
TU HA KEHSE TO SWIKAR KARISH,
NA KEHSE TO MEHNAT KARISH,
JYARE TARA LAYAK BANISH,
TYARE FARI OFFER KARISH,
PAR PYAR TO TANE J KARISH.
I LOVE YOU (“….”)
Tere husn ko shabdon mein kaid kar raha hoon,
Jo rahe nakaam woh koshish kar raha hoon,
Ambar pe hain lakhon tare chamakte,
Ek ko is zameen par laane ki koshish kar raha hoon.
Har pal ne kaha ek pal se, Pal bhar ke liye aap mere
samne aa jao,
Pal bhar ka saath kuch aisa ho, Ki har pal tum hi yaad
aao
Mumkin nahi shayad kisi ko samajh pana.
Samjhe bina kya kisi se dil lagana.
Aasan hai kisi ko pyar kar na.
Par usse bhi mushkil hai kisika pyar pana.
A phool mujhe bata tu aaj tak kyun khilta raha,
Tune to di sabko khusbu tujhko kya milta raha,
Phool ne kaha tu abhi nadan hai pyar ke sachhe matlab se
anjan hai,
Dene ke badle lena, wo to ek vyapar hai,
Jo dekar bhi kuch na mange wahi to sachha pyar hai...
Us din khuda ne bhi jasn manaya hoga,
Jis din fursat se apko banaya hoga,
Ankho se uske bhi nikle honge ansu,
Jab tumko yaha bhejkar khud ko akela paya hoga.
Ek raat hai kuch aisi,aur raat pe mera pehra hai…
Tera bheega hua ye jism,saavan ka chehra hai…
Andher me bhi jgta tera husn,kya baat hai,
Teri aisi jawani ka dria to sch me,kuen se bhi gehra hai
Meri mohabbat hai woh,koi majboori to nahin.
Woh mujhe chahe,ya mil jaye zaroori to nahin.
Yeh kuch kam hai ke basa hai meri saanson mein.
Woh saamne ho meri aankhon ke zaroori to nahin.
Jaan qurbaan meri,us ki har muskurahat pe.
Chahat ka takaaza hai yahi,aqal-e-khurori to nahin.
Ab to nikal ke aankhon se,yaadon mein ja basa woh.
Yahi hai qurbat-e-chahat,koi doori to nahin.
Us ke gar ki tarafÂÂ
uthte hi ruk jaate hain kadam.
Badnaami se us ki darta hoon,koi maazoori to nahin.
Kiyon log madhosh hote hain meri mehak se.
Dil ki jalan aur aansouon ka atar hai,mehak-e-kafoori to
nahin.
Dair karta hoon har kaam mein,kehte hain dost mere.
Kum aqali hai meri koi shaoori to nahin.
Kiyon sulgaata hai apne aap ko ae mian.
Dil bhi tera,jaan bhi teri,koi tandoori to nahin.(Chand2)
Mujhe afsos nahi
iska...
मुझे अफ़सोस नहीं इसका..
की मैं राह
हूं केवल…
किसी की मंज़िल
नहीं…
गम है तो
बस इतना की…
भूल जाते हैं
राहें लोग…
मुझे अफ़सोस नहीं इसका..
की मैं साथी
हूं केवल..
किसी की ज़िंदगी
में शामिल नहीं..
गम है तो
बस इतना..
साथ छोङ देते
हैं लोग..
मुझे अफ़सोस नहीं इसका…
की मैं गुजरा
पल हूं केवल..
जिसे तमाम उम्र
हासिल नहीं..
गम है तो
बस इतना..
गुजरा वक्त भूला
देते हैं लोग…
“किसी और से
नहीं पर खुद
से गिला है
मुझको,
शायद खुद मेरी
वजह से मेरी
ज़िन्दगी छोङ गई
मुझको।”
मुझे अफ़सोस नहीं इसका..
की मैं
राह हूं केवल…
किसी की
मंज़िल नहीं…
गम है
तो बस इतना
की…
भूल जाते
हैं राहें लोग…
मुझे अफ़सोस
नहीं इसका..
की मैं
साथी हूं केवल..
किसी की
ज़िंदगी में शामिल
नहीं..
गम है
तो बस इतना..
साथ छोङ
देते हैं लोग..
मुझे अफ़सोस
नहीं इसका…
की मैं
गुजरा पल हूं
केवल..
जिसे तमाम
उम्र हासिल नहीं..
गम है
तो बस इतना..
गुजरा वक्त भूला
देते हैं लोग…
“किसी और से
नहीं पर खुद
से गिला है
मुझको, शायद खुद
मेरी वजह से
मेरी ज़िन्दगी छोङ
गई मुझको।”
Boondon Mein Baras
Raha Ho Jaise Aasmaan Se Pyar Beshumar
Kal Halki Si Barsaat Mein Ho Gayi Mulaakat Unse,
Nazron Ki Shabnam Ne Jaise Kar Li Ho Har Baat Unse,
Unki Aankhon Mein Thi Aisi Kashish Ke Kya Kahein,
Mere Jism Ke Rom Rom Ne Kar Li Mohabbat Unse,
Masoom Hai Kuch Is Qadar Unki Chhuwan Ka Ehsaas,
Aakhir Ek Mod Par Kar Li Meri Haya Ne Hararat Unse,
Palkon Ke Parde Mein Karwat Leti Thi Kuch Paak Khataye,
Meri Muskurahat Ne Kar Hi Li Ho Jaise Shararat Unse,
Gaane Lagi Unki Khamoshi Kuch Aise Haseen Nagme,
Sambhle Na Jaate The Shayad Apne Khayalaat Unse,
Mera Aanchal Bhi Karne Laga Kyon Bewafayi Mujhse,
Chhuda Ke Mere Haathon Ki Zameen Gaya Lipat Unse,
Boondon Mein Baras Raha Ho Jaise Aasmaan Se Pyar
Beshumar,
Kuch Khamosh Se Sawalon Ke Mil Gaye Ho Jawaabaat Unse…
Romantic SMS
Aisa Karna Key Chand Sey Kuch Mitti Lana
Us Main Sey Do Putley Banana
Ek Tumharey Jaisa
Ek Merey Jaisa
Un Potloon Ko Phir Tum Toor Deyna
Un Sey Phir Tum Do Putley Banana
Ek Tumharey Jaisa
Ek Merey Jaisa
Ta K
Kuch Kuch Tum Main Hum Reh Jayen
Kuch Kuch Hum Main Tum Reh Jana
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Meri Ankhoo’n Mai Tera Aks Khuda Khair Karay
Taptay Sehra Mai Koi Shaks Khuda Khair Karay
Teray Wajood Se Meri Rooh Moutter Tahiri
Dil Ka Her Taar Karay Raqs Khuda Khair Karay
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yeh Bhi Aik Tamasha Hai Bazar e Ulfat Mein SAGAR..
DiL Kisi Ka Hota Hai Bas Kisi Ka Chalta
Hai..
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khuub pardaa hai k chilman se lagay baithay hain
Saaf chhuptay bhi nahi samanay atay bhi nahi
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hazaro Mashghaly Hein Jo Dil Ko Masroof Rakhty Hein
Magar Wo Zalim Aisa Hai Ky Phiar Bhi Yad Ata Hay…..!!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Zulfen hain uski bheegi huyi raat ki tarah,
Lehja khushk khushk sa hai barsaat ki tarah,
Khushbu se us haseen ki mehki hai Qaayenaat,
Uska khyaal bhi hai mulaaqaat ki tarah.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Zaban Khamosh Hoti Hain Nazar Se kaam Hota Hai
Isi Mahool Ka Shayad Mohabbat Naam Hoti Hai
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Andaz bahakne Lagta Hai, Baton Me shararat Hoti Hai
Ankhon Se pata Chal jata Hai Jis Dil Me Muhabbat Hoti Hai
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jab unse kaha ki tasavur me Dil Aapko Sajde Karta hai
Vo Kahne Lage Tum Karte Raho Ye Khas Ibadat Hoti Hai
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil Torte Hain Phir Jorte Hain, Rula Ke humen bahlate
Hain
Yeh Raaz Khula Dilvalon Me Reulvane Ki Aadat Hoti Hai
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kun Jhutha Vada Karte Ho, Jab Maine Kaha To Kahne Lage
Nadan Ho tum, Vaade Se Mere Kuch Der to Rahat Hoti Hai
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Andaz bahakne Lagta Hai, Baton Me shararat Hoti Hai
Ankhon Se pata Chal jata Hai Jis Dil Me Muhabbat Hoti Hai
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Sansein ruk jati hein Ankhein jhuk jati hein .
Jab wo samney aati hai .
Dahrkanon mein bas jati hai Sanson mein rach jati hai .
Jab wo samney aati hai !!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kaha Us Ny, K Akhir Tum, Bhula Do Gy Mujhy Aik Din…? .
Kaha Main Ny, Karon Main Kia, K Mar Jana Muqaddar
Hai…!!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kaash me aisi ghzal likhun tri yad me,
Tra aks numaya ho her alfaz me,
Tre liye aise moti sajaon alfazo ki sorat me jis ka na
zikr ho kisi kitab mein…
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Chalo pyar karey itna
.
K ye chaand taarey hmare pyar ki gawahi de
K aaj ki raat adhuri guzarney na paaey
.
Chalo pyar karey itna
.
K ye shabnami raat yunhi tham jaey
Sar se le kr paaun tk ek dujey k nashey main doob jaey
Na tmhe apni hosh ho na mjhey
Chalo na pyaar krtey jaaey…
.
K hamarey lazzat-e-hont hamarey badan per Nishaaan chhor
de
Aur kurbat main nikla aankho ka paani, hamare milan ki
nishani ban jaey
.
Chalo na pyar karey itna
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Us Ke Hontooon Ko Chuwa To Ehsas Huwa Ke Piyas Fakat Pani
Se He Nahi Bujha Karti.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Is Bheegi Sham K Sa’ey Mein
Chupkey Se Agr Tum Aa Jao,
Yeh Sham Suhani Ho Jaye,
Rangeen Kahani Ho Jaye,
Wo Baat Jo Lab Na Keh Sakey,
Aankhon Ki Zubani Ho jaye,
Koi Pyar Ka Naghma Tum
Chero,
Koi Pyar Ka Geet Sunaen Hum,
Han Pyar Karen Yun Hum Dono,
Yeh Raat Suhani Ho Jaye,
Main Baithoon Tere Pehlon Mein,
Kuch Dil Ki Baaten Ho Jayen,
Tum Ungliyan Phairo Mere Baalon Mein,
Hum Meethi Neend So Jayen,
Is Bhegi Sham Suhani Mein Chupky Se Agr Tum Aa Jao
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yeh Bhi Aik Tamasha Hai Bazar e Ulfat Mein SAGAR.. .
DiL Kisi Ka Hota Hai Bas Kisi Ka Chalta Hai..
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Meri aankhon se kabhi utro dil mein,
K main dharkan mein basa lun tumko,
Jaan se bi barh kr chahun tumhen,
Apni zindgi hi bana lun tumko,
Mere khuwabon mein sirf tum hi baso,
Apni neendon mein saja lun tum ko,
Logon ki bheer mein kho na jana kahin,
Zamane se hi chalo main chura lun tum ko,
Meri tanhai ko zaroorat hai tumhari,
Aagar ijazat ho to upna h bnalu tumko..!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Us ne jab chahne walo se atahat chahi,
Hum ne aadab kaha, aur ijazat chahi,
Yun’hi bekaar mai kab tak koi betha rehta,
Usko fursat jo na thi,hum ne b rukhsat chahi,
Husn ka apna hi shewa tha ta’luq mai “farazâ€,
Ishq ne apne hi andaz ki chahat chahi.! (Chand2)
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Add shayari to in this
page...
Post your Comment and
Submit Shayari Via Form
0 comments:
Your feedback is always appreciated. We will try to reply to your queries as soon as time allows.
Note:
1. Link below the Comment to be Notified of Follow UP comments and Replies.
2. You can also Add / Insert Image in Comment box by Adding Tag. Image must be width 300px and height 200px .
3. Please "Do Not Spam" - Spam comments will be deleted immediately upon our review.
4. Please "Do Not Add Links" to the body of your comment as they will not be published.
5. Only "English" comments shall be approved.
6. If you have a problem check first the comments, maybe you will find the solution there.
Post a Comment